Best Hindi Shayari Of Muneer Niyazi Selected Shayari Collection - मुनीर नियाज़ी Ki ख़्वाब पर : चुनिंदा शेर - HindiShayariH
khwaab hote hain dekhne ke liye
Un mein ja kar magar raha na karo
ख़्वाब होते हैं देखने के लिए
उन में जा कर मगर रहा न करो
muneer niyazi ki shayari
Aa gayi yaad sham dhalte hi
Bujh gaya dil charagh jalte hi
आ गई याद शाम ढलते ही
बुझ गया दिल चराग़ जलते ही
Khyal jis ka tha mujhe khayal mein mila mujhe
Sawal ka jawab bhi savaal mein mila mujhe
ख़याल जिस का था मुझे ख़याल में मिला मुझे
सवाल का जवाब भी सवाल में मिला मुझे
Neend ka halka gulabi sa khumar ankhon mein tha
Yun laga jaise woh shab ko der tak soya nahi
नींद का हल्का गुलाबी सा ख़ुमार आँखों में था
यूँ लगा जैसे वो शब को देर तक सोया नहीं
Aadat hi bana li hai tum ne to 'munir' apni
Jis sheher mein bhi rehna uktae hue rehna
आदत ही बना ली है तुम ने तो 'मुनीर' अपनी
जिस शहर में भी रहना उकताए हुए रहना
Hasti hi apni kya hai zamane ke samne
Ek khwab hain jahan main bikhar jayen hum to kya
हस्ती ही अपनी क्या है ज़माने के सामने
इक ख़्वाब हैं जहाँ में बिखर जाएँ हम तो क्या
Kuchh vakt chahte the ki sochen tire liye
Tu ne woh vakt hum ko zamane nahi diya
कुछ वक़्त चाहते थे कि सोचें तिरे लिए
तू ने वो वक़्त हम को ज़माने नहीं दिया
Khwahishein hain ghar se bahar door jaane kee bahut
Shauq lekin dil mein vapas laut kar aane ka tha
ख़्वाहिशें हैं घर से बाहर दूर जाने की बहुत
शौक़ लेकिन दिल में वापस लौट कर आने का था
Woh jis ko main samajhta raha kamyab din
Woh din tha meri umra ka sab se kharaab din
वो जिस को मैं समझता रहा कामयाब दिन
वो दिन था मेरी उम्र का सब से ख़राब दिन
Jaante the donon hum us ko nibha sakte nahi
Us ne vaada kar liya main ne bhi vaada kar liya
जानते थे दोनों हम उस को निभा सकते नहीं
उस ने वादा कर लिया मैं ने भी वादा कर लिया
Muneer niyazi sher, मुनीर नियाज़ी शायरी muneer niyazi shayari, मुनीर नियाज़ी की शायरी muneer niyazi ke sher, muneer niyazi ki shayari, मुनीर नियाज़ी शेर, , मुनीर नियाज़ी के शेर, , उर्दू शेर,